Bahut pyaar karte hain, tum ko sanam, qasam chaahe le lo

बहुत प्यार करते हैं, तुम को सनम, क़सम चाहे ले लो
Work
Year
Language

बहुत प्यार करते हैं, तुम को सनम (2)
कसम चाहे ले लो (2)
खुदा की कसम

हमें हर घड़ी, आरज़ू है तुम्हारी (2)
होती है कैसी, सनम बेकरारी
मिलेंगे जो तुम को तो (2)
बतायेंगे हम
बहुत प्यार …

हमारी गजल है, तस्सवुर तुम्हारा (2)
तुम्हारे बिना अब, ना जीना हमारा
तुम्हे यूं ही चाहेंगे (2)
जब तक है दम
बहुत प्यार …

सागर की बाहों में, मौजें हैं जितनी (2)
हमको भी तुमसे, मुहब्बत है उतनी
के ये बेकरारी ना (2)
अब होगी कम
बहुत प्यार …

bahut pyār karte haiṅ, tum ko sanam (2)
kasam chāhe le lo (2)
khudā kī kasam

hameṅ har ghaṛī, ārazū hai tumhārī (2)
hotī hai kaisī, sanam bekrārī
mileṅge jo tum ko to (2)
batāyeṅge ham
bahut pyār …

hamārī gajal hai, tassvur tumhārā (2)
tumhāre binā ab, nā jīnā hamārā
tumhe yūṅ hī chāheṅge (2)
jab tak hai dam
bahut pyār …

sāgar kī bāhoṅ meṅ, maujeṅ haiṅ jitnī (2)
hamko bhī tumse, muhabbat hai utnī
ke ye bekrārī nā (2)
ab hogī kam
bahut pyār …