Part ī
( ammā, ammā, tū kahāṇ gaī ammā
bachapan merā rotā hai ) -2
mere lāl kahāṇ hai tū -2
kyūṇ bichhaṛ gayā mujhse
merī god taṛaptī hai -2
man merā rotā hai
bhagvān bhī sotā hai
ammā, ammā, tū kahāṇ gaī ammā
bachapan merā rotā hai
bhagvān ne duniyā ke
dukh dard hameṅ bāṇṭe
nainoṅ meṅ bhare āṇsū
aur pāṇvoṅ meṅ kāṇṭe
merī ujaṛī huī bagiyā
merī dard bharī duniyā
hamne na kabhī dekhā
sukh kaisā hotā hai
ammā, ammā, tū kahāṇ gaī ammā
bachapan merā rotā hai
ammā, ammā
( ammā, ammā, maiṅ kisko kahūṇ ammā
mujhe kaun kahe biṭiyā ) -2
maiṅ bharne lagī gagrī -2
mere naynā bhar āye
maiṅ rūṭhūṇ to kisse -3
hai kaun jo mujhe manāye
rotī hai terī muniyā
ammā, ammā, maiṅ kisko kahūṇ ammā
mujhe kaun kahe biṭiyā
( nā mare kisī kī māṇ
bachapan ke zamāne meṅ ) -2
kyūṇ janam diyā jannī -2
jo chhoṛ ke jānā thā
itnā to batānā thā
kyūṇ ro de ?? merī duniyā
ammā, ammā