Bahut der se dar pe aankhen lagee theen ... bahut der kar dee

बहुत देर से दर पे आँखें लगी थीं ... बहुत देर कर दी
Work
Year
Language

बहुत देर से दर पे आँखें लगी थीं
हुज़ूर आते-आते बहुत देर कर दी -2
मसीहा मेरे तूने बीमार-ए-ग़म की
दवा लाते-लाते बहुत देर कर दी -2
हुज़ूर आते-आते …

मुहब्बत के दो बोल सुनने न पाए
वफ़ाओं के दो फूल चुनने न पाए
तुझे भी हमारी तमन्ना थी ज़ालिम
बताते-बताते बहुत देर कर दी
हुज़ूर आते-आते …

कोई पल में दम तोड़ देंगी मुरादें
बिखर जाएँगी मेरी ख़्वाबों की यादें
सदा सुनते-सुनते ख़बर लेते-लेते
पता पाते-पाते बहुत देर कर दी
हुज़ूर आते-आते …

bahut der se dar pe āṇkheṅ lagī thīṅ
huzūr āte-āte bahut der kar dī -2
masīhā mere tūne bīmār-e-ġham kī
davā lāte-lāte bahut der kar dī -2
huzūr āte-āte …

muhabbat ke do bol sunne na pāe
vafāoṅ ke do phūl chunne na pāe
tujhe bhī hamārī tamannā thī zālim
batāte-batāte bahut der kar dī
huzūr āte-āte …

koī pal meṅ dam toṛ deṅgī murādeṅ
bikhar jāeṇgī merī khvāboṅ kī yādeṅ
sadā sunte-sunte khabar lete-lete
patā pāte-pāte bahut der kar dī
huzūr āte-āte …