बहारों ने जिसे छेड़ा है वो साज-ए-जवानी है
बहारों ने जिसे छेड़ा है वो साज-ए-जवानी है
ज़माना सुन रहा है जिसको वो मेरी कहानी है
बहारों ने जिसे छेड़ा …
क़सम खा कर किसी को जब अपना बनाऊँगा
चमन की डालियों से लालियाँ फूलों की लाऊँगा
सितारों के चिराग़ों से फिर इस घर को सजाऊँगा
कि इस दुनिया में मुझको इक नई दुनिया बसानी है
बहारों ने जिसे छेड़ा …
चमन में सबने ही गाया तराना ज़िन्दगानी का
मगर सबसे अलग था रंग मेरी ही कहानी का
फ़साना इस क़दर रंगीन था मेरी जवानी का
कि जिसने भी सुना कहने लगा मेरी कहानी है
बहारों ने जिसे छेड़ा …
कोई समझे ना समझे मैं कहे देता हूँ दुनिया से
कि मैं दुनिया में हूँ मतलब नहीं रखता हूँ दुनिया से
कभी कुछ दिल में आता है तो कह देता हूँ दुनिया से
मेरी आवाज़ ही मेरी तमन्ना की निशानी है
बहारों ने जिसे छेड़ा …
bahāroṅ ne jise chheṛā hai vo sāj-e-javānī hai
zamānā sun rahā hai jisko vo merī kahānī hai
bahāroṅ ne jise chheṛā …
qasam khā kar kisī ko jab apnā banāūṇgā
chaman kī ḍāliyoṅ se lāliyāṇ phūloṅ kī lāūṇgā
sitāroṅ ke chirāġhoṅ se phir is ghar ko sajāūṇgā
ki is duniyā meṅ mujhko ik naī duniyā basānī hai
bahāroṅ ne jise chheṛā …
chaman meṅ sabne hī gāyā tarānā zindgānī kā
magar sabse alag thā raṅg merī hī kahānī kā
fasānā is qadar raṅgīn thā merī javānī kā
ki jisne bhī sunā kahne lagā merī kahānī hai
bahāroṅ ne jise chheṛā …
koī samjhe nā samjhe maiṅ kahe detā hūṇ duniyā se
ki maiṅ duniyā meṅ hūṇ matalab nahīṅ rakhtā hūṇ duniyā se
kabhī kuchh dil meṅ ātā hai to kah detā hūṇ duniyā se
merī āvāz hī merī tamannā kī niśhānī hai
bahāroṅ ne jise chheṛā …