In bahaaron men akele na phiro

इन बहारों में अकेले न फिरो
Work
Year
Language

इन बहारों में अकेले न फिरो
राह में काली घटा रोक न ले
मुझ को ये काली घटा रोकेगी क्‌या
ये तो ख़ुद है मेरी ज़ुल्फ़ों के तले

ये फ़िज़ायें ये नज़ारे शाम के
सारे आशिक़ हैं तुम्हारे नाम के
फूल कहती है ओ हो हो हो
फूल कहती है तुम्हें बाद-ए-सबा, तुम्हें बाद-ए-सबा
देखना बाद-ए-सबा रोक न ले
इन बहारों में अकेले …

मेरी कदमों से बहारों की गली
मेरा चेहरा देखती है हर कली
जानते हैं सब ओ हो हो हो
जानते हैं सब मुझे गुलज़ार में, मुझे गुलज़ार में
रंग सब को मेरे होंठों से मिले
इन बहारों में अकेले …

in bahāroṅ meṅ akele na phiro
rāh meṅ kālī ghaṭā rok na le
mujh ko ye kālī ghaṭā rokegī k‌yā
ye to khud hai merī zulfoṅ ke tale

ye fizāyeṅ ye nazāre śhām ke
sāre āśhiq haiṅ tumhāre nām ke
phūl kahtī hai o ho ho ho
phūl kahtī hai tumheṅ bād-e-sabā, tumheṅ bād-e-sabā
dekhnā bād-e-sabā rok na le
in bahāroṅ meṅ akele …

merī kadmoṅ se bahāroṅ kī galī
merā chehrā dekhtī hai har kalī
jānte haiṅ sab o ho ho ho
jānte haiṅ sab mujhe gulazār meṅ, mujhe gulazār meṅ
raṅg sab ko mere hoṅṭhoṅ se mile
in bahāroṅ meṅ akele …