Bahaar-e-husn teree, mausam-e-shabaab teraa

बहार-ए-हुस्न तेरी, मौसम-ए-शबाब तेरा
Year
Language

बहार-ए-हुस्न तेरी, मौसम-ए-शबाब तेरा
कहाँ से ढूँढ के लाए कोई जवाब तेरा
ये सुबह भी तेरे रुखसार की झलक ही तो है
के नाम लेके निकलता है आफ़ताब तेरा

जहाँ तू है वहाँ फिर चाँदनी को कौन पूछेगा
तेरा दर हो तो जन्नत की गली को कौन पूछेगा

कली को हाथ में लेकर बहारों को ना शरमाना
ज़माना तुझको देखेगा कली को कौन पूछेगा

फ़रिश्तों को पता देना ना अपनी रहगुज़ारों का
वो क़ाफ़िर हो गये तो बन्दगी को कौन पूछेगा

किसीको मुस्कुराके खूबसूरत मौत ना देना
क़सम है ज़िन्दगी की, ज़िन्दगी को कौन पूछेगा

bahār-e-husn terī, mausam-e-śhabāb terā
kahāṇ se ḍhūṇḍh ke lāe koī javāb terā
ye subah bhī tere rukhsār kī jhalak hī to hai
ke nām leke nikaltā hai āftāb terā

jahāṇ tū hai vahāṇ phir chāṇdnī ko kaun pūchhegā
terā dar ho to jannat kī galī ko kaun pūchhegā

kalī ko hāth meṅ lekar bahāroṅ ko nā śharmānā
zamānā tujhko dekhegā kalī ko kaun pūchhegā

fariśhtoṅ ko patā denā nā apnī rahguzāroṅ kā
vo qāfir ho gaye to bandgī ko kaun pūchhegā

kisīko muskurāke khūbsūrat maut nā denā
qasam hai zindgī kī, zindgī ko kaun pūchhegā