Bahaar-e-husn teree ... jahaan too hai vahaan phir chaandnee

बहार-ए-हुस्न तेरी ... जहाँ तू है वहाँ फिर चाँदनी
Year
Language

बहार-ए-हुस्न तेरी

जहाँ तू है वहाँ फिर चाँदनी को कौन पूछेगा -2
तेरा दर हो तो जन्नत की गली को कौन पूछेगा
जहाँ तू है …

कली हो हाथ में ले कर बहारों से न शरमाना
ज़माना तुझ को देखेगा कली को कौन पूछेगा
जहाँ तू है …

फ़रिश्तों को पता देना ना अपनी रहगुज़ारों का
वो क़ाफ़िर हो गए तो बन्दगी को कौन पूछेगा
जहाँ तू है …

किसी को मुस्करा के ख़ूबसूरत मौत ना देना
क़सम है ज़िन्दगी की ज़िन्दगी को कौन पूछेगा
जहाँ तू है …

bahār-e-husn terī

jahāṇ tū hai vahāṇ phir chāṇdnī ko kaun pūchhegā -2
terā dar ho to jannat kī galī ko kaun pūchhegā
jahāṇ tū hai …

kalī ho hāth meṅ le kar bahāroṅ se na śharmānā
zamānā tujh ko dekhegā kalī ko kaun pūchhegā
jahāṇ tū hai …

fariśhtoṅ ko patā denā nā apnī rahguzāroṅ kā
vo qāfir ho gae to bandgī ko kaun pūchhegā
jahāṇ tū hai …

kisī ko muskrā ke khūbsūrat maut nā denā
qasam hai zindgī kī zindgī ko kaun pūchhegā
jahāṇ tū hai …