Bahaar ban ke vo muskuraae hamaare gulashan men

बहार बन के वो मुस्कुराए हमारे गुलशन में
Year
Language

बहार बनके वो मुस्कुराए हमारे गुलशन में
बाद-ए-सबा तू न आए तो क्या
काली घटा तू न छाए तो क्या

मेरे दिल की राहों पे मेरे संग संग आ
तुझको दिखला दूँ मैं हमदम अपना
रंगोंभरी दुनिया मेरी, मेरा प्यार पहला

छूप के कोई आया है जब से दिल में
हर दिन नयी हलचल है मेरी महफ़िल में
धड़कन मेरी गाने लगी, अब ये गीत उन का

मतवाली डोलू मैं खोई सपनों में
अब मेरा दिल लागे ना मेरे अपनों में
क्या मिल गया, क्या खो गया, दिल ही जाने मेरा

bahār banke vo muskurāe hamāre gulaśhan meṅ
bād-e-sabā tū na āe to kyā
kālī ghaṭā tū na chhāe to kyā

mere dil kī rāhoṅ pe mere saṅg saṅg ā
tujhko dikhlā dūṇ maiṅ hamdam apnā
raṅgoṅbhrī duniyā merī, merā pyār pahlā

chhūp ke koī āyā hai jab se dil meṅ
har din nayī halchal hai merī mahafil meṅ
dhaṛkan merī gāne lagī, ab ye gīt un kā

matvālī ḍolū maiṅ khoī sapnoṅ meṅ
ab merā dil lāge nā mere apnoṅ meṅ
kyā mil gayā, kyā kho gayā, dil hī jāne merā