Bahaa naa aansoo bhulaa de har gam ... teraa khudaa hai

बहा ना आँसू भुला दे हर गम ... तेरा ख़ुदा है
Work
Year
Language

बहा ना आँसू भुला दे हर गम
के तेरा हमदम तेरा ख़ुदा है
नहीं जो साथी ये सारा आलम तो ये है क्‌या कम
तेरा ख़ुदा है तेरा ख़ुदा है

करीब है सुबह-ए-यार तेरी छुपेगी कब तक बहार तेरी
वो सुन रहा है पुकार तेरी हमेशा हरदम
तेरा ख़ुदा है …

ना होगा ये भी गलत कुछ इतना
जो तू समझे ले हमें भी अपना
के हमको गर तेरा दर्द कितना जो कहते हैं हम
तेरा ख़ुदा है …

bahā nā āṇsū bhulā de har gam
ke terā hamdam terā khudā hai
nahīṅ jo sāthī ye sārā ālam to ye hai k‌yā kam
terā khudā hai terā khudā hai

karīb hai subah-e-yār terī chhupegī kab tak bahār terī
vo sun rahā hai pukār terī hameśhā hardam
terā khudā hai …

nā hogā ye bhī galat kuchh itnā
jo tū samjhe le hameṅ bhī apnā
ke hamko gar terā dard kitnā jo kahte haiṅ ham
terā khudā hai …