Bagiyaa ke amrood kahen ... yah poochh rahe hain saare

बगिया के अमरूद कहें ... यह पूछ रहे हैं सारे
Year
Language

बगिया के अमरूद कहें और बोले मेरा तोता
यहां तेरा प्रीतम होता कितना अच्छा होता
गूंज रही है मेरे मन में शादी की शहनाई
जब से देखा आपको मैने नींद नहीं फिर आई
डोली लेकर कब आयेंगे प्रीतम मेरे द्वार
लग्न हमारा कब होगा यह पूछ रहे हैं सारे
बगिया के अमरूद कहें …

बिना आपके व्याकुल रहता है यह ह्रदय मेरा
मुरझाया लगता है मुझको इन फूलों काअ चेहरा
जल्दी आना मिलने मुझसे मेरे मन के वासी
वरना ये फूलों की बेलें बन जाएंगी फांसी
सोच रहे हैं हाथ मेरे ये बातें कैसे लिखेंगे
कब तक बाट निहारेंगे कब तक धीरज रखेंगे
बागों की कलियां कहती हैं कि थक गए नैन हमारे
लग्न हमारा कब होगा …

देख के पहली बार आपको आँखें झूम रही थीं
आपकी प्यारी सूरत को नज़रों से चूम रही थीं
तबसे लेकर अब तक हर पल इक इक युग लगता है
वैसे कौन किसी को इतने प्यार से खत लिखता है
कह दी है मन की बात और नहीं है कुछ कहना
पत्र में हो गलती कोई उसको आप क्षमा करना
नाम आपका तोता लेकर रोज पुकारे
लग्न हमारा कब होगा …

bagiyā ke amrūd kaheṅ aur bole merā totā
yahāṅ terā prītam hotā kitnā achchhā hotā
gūṅj rahī hai mere man meṅ śhādī kī śhahnāī
jab se dekhā āpko maine nīṅd nahīṅ phir āī
ḍolī lekar kab āyeṅge prītam mere dvār
lagn hamārā kab hogā yah pūchh rahe haiṅ sāre
bagiyā ke amrūd kaheṅ …

binā āpke vyākul rahtā hai yah hrday merā
murjhāyā lagtā hai mujhko in phūloṅ kāa chehrā
jaldī ānā milne mujhse mere man ke vāsī
varnā ye phūloṅ kī beleṅ ban jāeṅgī phāṅsī
soch rahe haiṅ hāth mere ye bāteṅ kaise likheṅge
kab tak bāṭ nihāreṅge kab tak dhīraj rakheṅge
bāgoṅ kī kaliyāṅ kahtī haiṅ ki thak gae nain hamāre
lagn hamārā kab hogā …

dekh ke pahlī bār āpko āṇkheṅ jhūm rahī thīṅ
āpkī pyārī sūrat ko nazroṅ se chūm rahī thīṅ
tabse lekar ab tak har pal ik ik yug lagtā hai
vaise kaun kisī ko itne pyār se khat likhtā hai
kah dī hai man kī bāt aur nahīṅ hai kuchh kahnā
patr meṅ ho galtī koī usko āp kṣhmā karnā
nām āpkā totā lekar roj pukāre
lagn hamārā kab hogā …