Badnaam na ho jaaye muhabbat kaa fasaanaa

बदनाम न हो जाये मुहब्बत का फ़साना
Work
Year
Language

बदनाम न हो जाये मुहब्बत का फ़साना
ऐ दर्द भरे आँसुओं आँखों में न आना

दुनियाँ में मुहब्बत की यही रीत है ऐ दिल
जल जाना मगर होंठों पर फ़रियाद न लाना
ऐ दर्द भरे आँसुओं …

कह दे ना कहीं आँख मेरे दिल की कहानी
ऐ दिल तेरी धड़कन कहीं सुन ले न ज़माना
ऐ दर्द भरे आँसुओं …

ऐ जान-ए-मुहब्बत यही बस मेरी दुआ है
हो जाये तेरे साथ मेरी जाँ भी रवा न
ऐ दर्द भरे आँसुओं …

badnām na ho jāye muhabbat kā fasānā
ai dard bhare āṇsuoṅ āṇkhoṅ meṅ na ānā

duniyāṇ meṅ muhabbat kī yahī rīt hai ai dil
jal jānā magar hoṅṭhoṅ par fariyād na lānā
ai dard bhare āṇsuoṅ …

kah de nā kahīṅ āṇkh mere dil kī kahānī
ai dil terī dhaṛkan kahīṅ sun le na zamānā
ai dard bhare āṇsuoṅ …

ai jān-e-muhabbat yahī bas merī duā hai
ho jāye tere sāth merī jāṇ bhī ravā na
ai dard bhare āṇsuoṅ …