Badle badle mere sarkaar nazar aate hain

बदले बदले मेरे सरकार नज़र आते हैं
Language

बदले बदले मेरे सरकार नज़र आते हैं
घर की बरबादी के आसार नज़र आते हैं

डूबे रहते थे मेरे प्यार में जो शाम-ओ-सहर
मेरे चेहरे से ना हटती थी कभी जिनकी नज़र
मेरी सूरत से वो बेजार नज़र आते हैं

वो जो बदले तो जमाने की हवा भी बदली
दिल की खुशियाँ भी गयी, घर की फज़ा भी बदली
सुने सुने दर-ओ-दीवार नज़र आते हैं

मेरे मालिक ने मोहब्बत का चलन छोड़ दिया
कर के बरबाद मेरे दिल का चमन छोड़ दिया
फूल भी अब तो मुझे खार नज़र आते हैं

badle badle mere sarkār nazar āte haiṅ
ghar kī barbādī ke āsār nazar āte haiṅ

ḍūbe rahte the mere pyār meṅ jo śhām-o-sahar
mere chehre se nā haṭtī thī kabhī jinkī nazar
merī sūrat se vo bejār nazar āte haiṅ

vo jo badle to jamāne kī havā bhī badlī
dil kī khuśhiyāṇ bhī gayī, ghar kī phazā bhī badlī
sune sune dar-o-dīvār nazar āte haiṅ

mere mālik ne mohabbat kā chalan chhoṛ diyā
kar ke barbād mere dil kā chaman chhoṛ diyā
phūl bhī ab to mujhe khār nazar āte haiṅ