la: merī sāṇsoṅ ko jo mahkā rahī hai
ye pahle pyār kī khuśhbū
terī sāṇsoṅ se śhāyad ā rahī hai
śhurū ye ye silsilā, usī din se huā thā -2
achānak tūne jis din mujhe yūṇhī chhuā thā -2
lahar jāgī jo us pal, tan-badan meṅ
vo man ko āj bhī bahkā rahī hai
ye pahle pyār kī khuśhbū
terī sāṇsoṅ se śhāyad ā rahī hai
ma: bahut tarsā hai ye dil, tere sapne sajāke -2
ye dil kī bāt sun le, merī bāhoṅ meṅ āke -2
jagāke anokhī pyās man meṅ
ye mīṭhī āg jo dahkā rahī hai
la: ye pahle pyār kī khuśhbū
terī sāṇsoṅ se śhāyad ā rahī hai
ye āṇkheṅ boltī haiṅ, jo ham na bol pāe
jagī vo pyās man kī, nazar meṅ jhilmilāe
hoṅṭhoṅ pe terī halkī sī hṇsī hai
merī dhaṛkan bahaktī jā rahī hai
ye pahle pyār kī khuśhbū
terī sāṇsoṅ se śhāyad ā rahī hai
% -- ṣhaśhikhant zośhi urf Pintu ḍivn