Bachnaa zaraa ye zamaanaa hai buraa

बचना ज़रा ये ज़माना है बुरा
Work
Year
Language

बचना ज़रा ये ज़माना है बुरा
कभी मेरी गली में न आना

मेरी गली में आने वाले हो जाते हैं ग़म के हवाले
इन राहों से जो भी गुज़रे सोच समझ कर दिल को उछाले
बड़े बड़े दिल यहाँ बनते हैं निशाना
बचना ज़रा यह ज़माना …

नैन लड़ा कर दिल को लुभाना दिल को लुभा कर पास बुलाना
पास बुलाकर खुद घबराना तेरा भी जवाब नहीं वाह

आँख मिलाकर आँख चुराना आँख चुरा कर दिल को जलाना
दिल को जलाकर होश भुलाना होश भुलाकर मजनूं बनाना
इन लैलाओं का है यह खेल पुराना
बचना ज़रा यह ज़माना …

शोख़ी समझें शर्म-ओ-हया को आप बुलाएं अपनी कज़ा को
और फिर मांगे हमसे हरजाना
बचना ज़रा यह ज़माना …

bachnā zarā ye zamānā hai burā
kabhī merī galī meṅ na ānā

merī galī meṅ āne vāle ho jāte haiṅ ġham ke havāle
in rāhoṅ se jo bhī guzre soch samajh kar dil ko uchhāle
baṛe baṛe dil yahāṇ bante haiṅ niśhānā
bachnā zarā yah zamānā …

nain laṛā kar dil ko lubhānā dil ko lubhā kar pās bulānā
pās bulākar khud ghabrānā terā bhī javāb nahīṅ vāh

āṇkh milākar āṇkh churānā āṇkh churā kar dil ko jalānā
dil ko jalākar hośh bhulānā hośh bhulākar majnūṅ banānā
in lailāoṅ kā hai yah khel purānā
bachnā zarā yah zamānā …

śhokhī samjheṅ śharm-o-hayā ko āp bulāeṅ apnī kazā ko
aur phir māṅge hamse harjānā
bachnā zarā yah zamānā …