Title (Indic)मेरा जीवन साथी बिछड़ गया लो खतम कहानी हो गैइ WorkBabul Year1950 LanguageHindi Credits Role Artist Music Naushad Performer Talat Mahmood Writer Shakeel Badayuni LyricsHindiज़माने में खुशी के साथ, लाखों ग़म भी होते हैं जहाँ शहनाई बजती हैं, वहाँ मातम भी होते हैं मेरा जीवन साथी बिछड़ गया, लो खतम कहानी हो गई लो खतम कहानी हो गई (क़िस्मत ने किये जो दिल पे सितम दो चाहने वाले मिल न सके ) - 2 कहने को बहार आई थी मगर दो फूल खुशी के खिल न सके अरमानों का गुलशन उजड़ गया बरबाद जवानी हो गई लो खतम कहानी हो गई (दिल देके यहाँ सब हार गए दुनिया में हमारी जीत कहाँ ) - 2 होठों पे हैं शिकवे क़िस्मत के वो प्यार भरे अब गीत कहाँ जब खेल ही दिल का बिगड़ गया हर बात पुरानी हो गई लो खतम कहानी हो गई Englishzamāne meṅ khuśhī ke sāth, lākhoṅ ġham bhī hote haiṅ jahāṇ śhahnāī bajtī haiṅ, vahāṇ mātam bhī hote haiṅ merā jīvan sāthī bichhaṛ gayā, lo khatam kahānī ho gaī lo khatam kahānī ho gaī (qismat ne kiye jo dil pe sitam do chāhne vāle mil na sake ) - 2 kahne ko bahār āī thī magar do phūl khuśhī ke khil na sake armānoṅ kā gulaśhan ujaṛ gayā barbād javānī ho gaī lo khatam kahānī ho gaī (dil deke yahāṇ sab hār gae duniyā meṅ hamārī jīt kahāṇ ) - 2 hoṭhoṅ pe haiṅ śhikve qismat ke vo pyār bhare ab gīt kahāṇ jab khel hī dil kā bigaṛ gayā har bāt purānī ho gaī lo khatam kahānī ho gaī