Baar baar meraa pyaar mujhe poochh rahaa dildaar

बार बार मेरा प्यार मुझे पूछ रहा दिलदार्
Work
Year
Language

बार-बार मेरा प्यार मुझे पूछ रहा दिलदार
कि ऐसा तुझमें क्‌या है क्‌या है जो मेरा चैन गया है

मैने देखा है जब से तुझको चाहा है तब से
और मेरे फ़साने में कुछ भी नहीं
मुझको इतना पता है तुझमें ऐसी अदा है
नाम जिसका ज़माने में कुछ भी नहीं
फिर कैसे मैं समझाऊँ और कैसे मैं बतलाऊँ
कि ऐसा तुझमें …

ये उजाला बदन का चाँद जैसे गगन का
कैसे लफ़्ज़ों में ये रूप ढल पाएगा
मैं जो गाना भी चाहूँ गुनगुनाना भी चाहूँ
गीत मेरा अधूरा सा रह जाएगा
फिर कैसे मैं समझाऊँ और कैसे मैं बतलाऊँ
कि ऐसा तुझमें …

bār-bār merā pyār mujhe pūchh rahā dildār
ki aisā tujhmeṅ k‌yā hai k‌yā hai jo merā chain gayā hai

maine dekhā hai jab se tujhko chāhā hai tab se
aur mere fasāne meṅ kuchh bhī nahīṅ
mujhko itnā patā hai tujhmeṅ aisī adā hai
nām jiskā zamāne meṅ kuchh bhī nahīṅ
phir kaise maiṅ samjhāūṇ aur kaise maiṅ batlāūṇ
ki aisā tujhmeṅ …

ye ujālā badan kā chāṇd jaise gagan kā
kaise lafzoṅ meṅ ye rūp ḍhal pāegā
maiṅ jo gānā bhī chāhūṇ gungunānā bhī chāhūṇ
gīt merā adhūrā sā rah jāegā
phir kaise maiṅ samjhāūṇ aur kaise maiṅ batlāūṇ
ki aisā tujhmeṅ …