Baap kee kasam maan kee kasam ... tere sivaa kisee kee naheen main

बाप की कसम माँ की कसम ... तेरे सिवा किसी की नहीं मैं
Work
Year
Language

बाप की कसम माँ की कसम
तेरी कसम जाँ की कसम
ले ले किसी की कसम
आ आ
तेरे सिवा किसी की नहीं मैं मुझको सारे जहाँ की कसम
रिबाबा रिबाबा रौबाबा अरे बाप की कसम

नई नई मछली को नई नई तितली को
ढूँढे तेरी नजरिया -2
पानी भरने रानी चले दही में मथानी चले
ऐसे चले तेरी कमरिया -2
तेरा कहा मानेंगे न हम -2
झूठा है तू मेरे सनम -2
अरे बाप की कसम …

इतनी जवानी हसीं दूसरी देखी नहीं
दुनिया को मैं देख आया -2
ऐसा कितनों को कहा कितनों के साथ रहा
कितनों को तूने घुमाया
ख़्वाबों में भी देखा नहीं और किसी को तेरी कसम
अरे बाप की कसम …

देखें हम तो खड़े खड़े ग़ेसुओं के भाग बड़े
चूमें तेरे बालों को
बुलबुले फंसाना चाहे बातें बनाना चाहे
जानूं तेरे चालों को
एक तरफ़ सारा जहाँ एक तरफ़ तू मेरे सनम
अरे बाप की कसम …

bāp kī kasam māṇ kī kasam
terī kasam jāṇ kī kasam
le le kisī kī kasam
ā ā
tere sivā kisī kī nahīṅ maiṅ mujhko sāre jahāṇ kī kasam
ribābā ribābā raubābā are bāp kī kasam

naī naī machhlī ko naī naī titlī ko
ḍhūṇḍhe terī najriyā -2
pānī bharne rānī chale dahī meṅ mathānī chale
aise chale terī kamriyā -2
terā kahā māneṅge na ham -2
jhūṭhā hai tū mere sanam -2
are bāp kī kasam …

itnī javānī hasīṅ dūsrī dekhī nahīṅ
duniyā ko maiṅ dekh āyā -2
aisā kitnoṅ ko kahā kitnoṅ ke sāth rahā
kitnoṅ ko tūne ghumāyā
khvāboṅ meṅ bhī dekhā nahīṅ aur kisī ko terī kasam
are bāp kī kasam …

dekheṅ ham to khaṛe khaṛe ġhesuoṅ ke bhāg baṛe
chūmeṅ tere bāloṅ ko
bulbule phaṅsānā chāhe bāteṅ banānā chāhe
jānūṅ tere chāloṅ ko
ek taraf sārā jahāṇ ek taraf tū mere sanam
are bāp kī kasam …