duniyā banāne vāle rāmojī
gazab sā hai terā iṅtazām
duniyā banāne vāle rāmojī
gazab sā hai terā iṅtazām
rośhnī karne ko roz sūraj ātā
rāt ko chup-chāp chāṇd pahrā lagātā
daso diśhāoṅ meṅ pavan jam ke dhulātā(?)
lākh parindoṅ kā bhīṛ jhūm ke gātā
vāh re vāh re dātā
are vāh re vāh re dātā kyā khūb terā kām
duniyā banāne vāle rāmojī …
ajab terā jādū hai ajab terā khel
jalte haiṅ tāroṅ ke diye roz binā tel
āg kā hotā nahīṅ pānī se kabhī mel
phir bhī bādloṅ meṅ lagī bijliyoṅ kī bel
gahre samandar ke bhī andar hai dhūm dhām
duniyā banāne vāle rāmojī …
kuchh zarūr hai terī kudarat meṅ karāmāt
kuchh zarūr hai
kuchh zarūr hai terī kudarat meṅ karāmāt
tere iśhāre pe yahāṇ ban rahī har bāt
ye zamīn ye gagan, ye prkaśh ye pavan
ye samudr ye pahāṛ ye bhī ?
tū ne har ik pe ? dī hai binā dām
duniyā banāne vāle rāmojī …