Title (Indic)हक़ माँगते हैं अपने पसीने का WorkBaap Bete Year1959 LanguageHindi Credits Role Artist Music Madan Mohan Performer Mohammad Rafi Writer Rajendra Krishan LyricsHindiहक़ माँगते हैं अपने पसीने का अधिकार हमें भी है जीने का तुम लाख अमीरों ऐश करो हम देख तुम्हें कब जलते हैं साए में तुम्हारे महलों के लेकिन कितने ग़म पलते हैं देखो तो नज़ारा आके कभी ग़म खाने आँसू पीने का हक़ माँगते हैं … मेहनत पे हमारी ही तुमने ये शीशमहल है खड़ा किया तुम जिनको छोटा कहते हो इन छोटों ने तुमको बड़ा किया क्यों साल के पीछे चुभता है फिर बोनस एक महीने का हक़ माँगते हैं … तुम खुद भी जियो और जीने दो है माँग यही मज़दूरों की इन्साफ़ करो इन्साफ़ करो आह न लो मज़दूरों की शोला न कहीं बनकर भड़के अब तक जो धुआँ है सीने का हक़ माँगते हैं … Englishhaq māṇgte haiṅ apne pasīne kā adhikār hameṅ bhī hai jīne kā tum lākh amīroṅ aiśh karo ham dekh tumheṅ kab jalte haiṅ sāe meṅ tumhāre mahloṅ ke lekin kitne ġham palte haiṅ dekho to nazārā āke kabhī ġham khāne āṇsū pīne kā haq māṇgte haiṅ … mehnat pe hamārī hī tumne ye śhīśhmahal hai khaṛā kiyā tum jinko chhoṭā kahte ho in chhoṭoṅ ne tumko baṛā kiyā kyoṅ sāl ke pīchhe chubhtā hai phir bonas ek mahīne kā haq māṇgte haiṅ … tum khud bhī jiyo aur jīne do hai māṇg yahī mazdūroṅ kī insāf karo insāf karo āh na lo mazdūroṅ kī śholā na kahīṅ bankar bhaṛke ab tak jo dhuāṇ hai sīne kā haq māṇgte haiṅ …