Baagon men khilte hain phool qasam teree

बागों में खिलते हैं फूल क़सम तेरी
Year
Language

त: बागों में खिलते हैं फूल क़सम तेरी आँखों की खा के -2
ल: आई समझ में जो भूल गिरे तेरे क़दमों में आ के -2

त: ( घूँघट के पीछे ये रूप सादा
बदली में जैसे हो चाँद आधा ) -2
ल: तुम मेरे सपनों के नटखट कन्हैया -2
मैं हूँ तुम्हारे ख़्वाबों की राधा
त: हो बागों में खिलते हैं …

ल: ( आँखों में रखना दिल में बसाना
धरती के ज़र्रे को तारा बनाना ) -2
त: जीवन की राहों के मासूम साथी -2
तेरी नज़र पे लुटा दूँ ज़माना
ओ ओ बागों में खिलते हैं …

ta: bāgoṅ meṅ khilte haiṅ phūl qasam terī āṇkhoṅ kī khā ke -2
la: āī samajh meṅ jo bhūl gire tere qadmoṅ meṅ ā ke -2

ta: ( ghūṇghaṭ ke pīchhe ye rūp sādā
badlī meṅ jaise ho chāṇd ādhā ) -2
la: tum mere sapnoṅ ke naṭkhaṭ kanhaiyā -2
maiṅ hūṇ tumhāre khvāboṅ kī rādhā
ta: ho bāgoṅ meṅ khilte haiṅ …

la: ( āṇkhoṅ meṅ rakhnā dil meṅ basānā
dhartī ke zarre ko tārā banānā ) -2
ta: jīvan kī rāhoṅ ke māsūm sāthī -2
terī nazar pe luṭā dūṇ zamānā
o o bāgoṅ meṅ khilte haiṅ …