Baabul kaa ghar chhor ke betee piyaa ke ghar chalee

बाबुल का घर छोड़ के बेटी पिया के घर चली
Work
Year
Language

अ: बाबुल का घर छोड़ के बेटी पिया के घर चली -2
ये कैसी घड़ी आई है मिलन है जुदाई है -2
कु: बाबुल का घर …

अ: बचपन के वो खेल खिलौने छोड़ के सब जाएगी
वो राजा रानी की कहानी याद बहुत आएगी
रोकर भी ममता की कीमत कैसे चुका पाएगी
बाबुल का घर …

कु: मैका है दो दिन का बसेरा कौन यहाँ रह पाए
बिन बेटी का बाप भी देखो बेटी का ब्याह रचाए
रोके रुके ना आँसू की धारा आँख छलकती जाए
बाबुल का घर …
अ: बाबुल का घर …

a: bābul kā ghar chhoṛ ke beṭī piyā ke ghar chalī -2
ye kaisī ghaṛī āī hai milan hai judāī hai -2
ku: bābul kā ghar …

a: bachapan ke vo khel khilaune chhoṛ ke sab jāegī
vo rājā rānī kī kahānī yād bahut āegī
rokar bhī mamtā kī kīmat kaise chukā pāegī
bābul kā ghar …

ku: maikā hai do din kā baserā kaun yahāṇ rah pāe
bin beṭī kā bāp bhī dekho beṭī kā byāh rachāe
roke ruke nā āṇsū kī dhārā āṇkh chhalaktī jāe
bābul kā ghar …
a: bābul kā ghar …