Title (Indic)ज़िंदगी में तो सभी प्यार किया करते हैं WorkAzmat Year1973 LanguageHindi Credits Role Artist Music Nashad Performer Mehdi Hassan Writer Qatil Shifai LyricsHindiज़िंदगी में तो सभी प्यार किया करते हैं मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा तू मिला है तो यह अहसास हुआ है मुझको यह मेरी उम्र मोहब्बत के लिये थोड़ी है इक ज़रा सा ग़म-ए-दौरां का भी हक़ है जिस पर मैंने वोह साँस भी तेरे लिये रख छोड़ी है तुझ पे हो जाऊँगा क़ुर्बान तुझे चाहूँगा मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा अपने जज़बात में नग़मात रचाने के लिये मैंने धड़कन की तरह दिल में बसाया है तुझे मैं तसव्वुर भी जुदाई का भला कैसे करूँ मैंने क़िस्मत की लकीरों से चुराया है तुझे प्यार का बनके निगहबान तुझे चाहूँगा मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा तेरी हर चाप से जलते हैं ख़यालों में चराग़ जब भी तू आये जगाता हुआ जादू आये तुझको छू लूँ तो फिर ऐ जान-ए-तमन्ना मुझको देर तक अपने बदन से तेरी ख़ुशबू आये तू बहारों का है उनवान तुझे चाहूँगा मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा ज़िंअगी में तो सभी प्यार किया करते हैं मैं तो मर कर भी मेरी जान तुझे चाहूँगा Englishziṅdgī meṅ to sabhī pyār kiyā karte haiṅ maiṅ to mar kar bhī merī jān tujhe chāhūṇgā tū milā hai to yah ahsās huā hai mujhko yah merī umr mohabbat ke liye thoṛī hai ik zarā sā ġham-e-daurāṅ kā bhī haq hai jis par maiṅne voh sāṇs bhī tere liye rakh chhoṛī hai tujh pe ho jāūṇgā qurbān tujhe chāhūṇgā maiṅ to mar kar bhī merī jān tujhe chāhūṇgā apne jazbāt meṅ naġhmāt rachāne ke liye maiṅne dhaṛkan kī tarah dil meṅ basāyā hai tujhe maiṅ tasavvur bhī judāī kā bhalā kaise karūṇ maiṅne qismat kī lakīroṅ se churāyā hai tujhe pyār kā banke nigahbān tujhe chāhūṇgā maiṅ to mar kar bhī merī jān tujhe chāhūṇgā terī har chāp se jalte haiṅ khayāloṅ meṅ charāġh jab bhī tū āye jagātā huā jādū āye tujhko chhū lūṇ to phir ai jān-e-tamannā mujhko der tak apne badan se terī khuśhbū āye tū bahāroṅ kā hai unvān tujhe chāhūṇgā maiṅ to mar kar bhī merī jān tujhe chāhūṇgā ziṅagī meṅ to sabhī pyār kiyā karte haiṅ maiṅ to mar kar bhī merī jān tujhe chāhūṇgā