dam bhar jo udhar muṇh phere, o chaṅdā
maiṅ un se pyār kar lūṇgī, bāteṅ hazār kar lūṇgī
dil kartā hai pyār ke sajde, aur maiṅ bhī un ke sāth
chāṇd ko chaṅdā roj hī dekhe, merī pahlī rāt
bādal meṅ ab chhup jā re, o chaṅdā
maiṅ un se pyār kar lūṇgī, bāteṅ hazār kar lūṇgī
dambhar jo idhar muṇh phere, o chaṅdā
maiṅ un se pyār kar lūṇgā, nazreṅ to chār kar lūṇgā
maiṅ chor hūṇ kām hai chorī, duniyā meṅ hūṇ badnām
dil ko churātā āyā hūṇ maiṅ, yahī merā kām
ānā tū gavāhī dene, o chaṅdā
maiṅ un se pyār kar lūṇgā, nazreṅ to chār kar lūṇgā
dil ko churā ke kho mat jānā, rāh na jānā bhūl
in kadmoṅ se kuchal na denā mere dil kā phūl
ye bāt unhe samjhā de, o chaṅdā
maiṅ un se pyār kar lūṇgī, bāteṅ hazār kar lūṇgī