और क्या एहद-ए-वफ़ा होते हैं
और क्या एहद-ए-वफ़ा होते हैं
लोग मिलते हैं जुदा होते हैं
कब बिछड़ जाये हमसफ़र ही तो है
कब बदल जाये इक नज़र ही तो है
जान-ओ-दिल जिसपे फ़िदा होते हैं
और क्या एहद-ए-वफ़ा होते हैं …
बात निकली थी इस ज़माने की
जिसको आदत है भूल जाने की
आप क्यों हमसे खफ़ा होते हैं
और क्या एहद-ए-वफ़ा होते हैं …
जब रुला लेते हैं जी भर के हमें
जब सता लेते हैं जी भर के हमें
तब कहीं खुश वो ज़रा होते हैं
और क्या एहद-ए-वफ़ा होते हैं …
aur kyā ehad-e-vafā hote haiṅ
log milte haiṅ judā hote haiṅ
kab bichhaṛ jāye hamasafar hī to hai
kab badal jāye ik nazar hī to hai
jān-o-dil jispe fidā hote haiṅ
aur kyā ehad-e-vafā hote haiṅ …
bāt niklī thī is zamāne kī
jisko ādat hai bhūl jāne kī
āp kyoṅ hamse khafā hote haiṅ
aur kyā ehad-e-vafā hote haiṅ …
jab rulā lete haiṅ jī bhar ke hameṅ
jab satā lete haiṅ jī bhar ke hameṅ
tab kahīṅ khuśh vo zarā hote haiṅ
aur kyā ehad-e-vafā hote haiṅ …