jośh-e--javānī hāy re hāy
nikle jidhar se dhūm machāye
duniyā kā melā, maiṅ hūṇ akelā
kitnā akelā hūṇ maiṅ
jośh-e-javānī hāy re hāy …
śhām kā raṅgīṅ śhokh nazārā
aur bechārā ye dil
ḍhūṇdh ke hārā, koī sahārā
par na milī maṅzil
jośh-e-javānī hāy re hāy …
koī to hamse do bāt kartā
koī to kahtā halo
ghar na bulātā par ye to kahtā
kuchh dūr tak saṅg chalo
jośh-e-javānī hāy re hāy …
bekār guzre ham is taraf se
bekār thā ye safar
ab dar-ba-dar kī khāte haiṅ ṭhokar
rājā jo the apne ghar
jośh-e-javānī hāy re hāy …