Are saasoo teerath sasuraa teerath

अरे सासू तीरथ ससुरा तीरथ्
Work
Year
Language

अरे सासू तीरथ ससुरा तीरथ
सासू तीरथ ससुरा तीरथ तीरथ साला-साली है
दुनिया के सब तीरथ झूठे चारों धाम घरवाली है -2
सासू तीरथ ससुरा …

बीवी जब रूठे तो याद आती है साली -2
साली जीजा को प्यारी है वो गोरी हो या काली
लेकिन अपनी क़िस्मत में तो साला है ना साली है
अरे चारों धाम घरवाली …

बीवी तो अच्छी है वो होती जो नखरे वाली -2
फूलों से प्यारी लगती है जब-जब देती है गाली
तुहाडी ते सानूं पता नहीं -2
पर साडी ते मखणां वाली है
अरे चारों धाम घरवाली …

बोलो घरवाली की जय
बोलो मखणां वाली की जय
अरे बोलो साथ में अपनी भी जय
नहीं नहीं नहीं घरवाली की ही ही ही जय्

are sāsū tīrath sasurā tīrath
sāsū tīrath sasurā tīrath tīrath sālā-sālī hai
duniyā ke sab tīrath jhūṭhe chāroṅ dhām gharvālī hai -2
sāsū tīrath sasurā …

bīvī jab rūṭhe to yād ātī hai sālī -2
sālī jījā ko pyārī hai vo gorī ho yā kālī
lekin apnī qismat meṅ to sālā hai nā sālī hai
are chāroṅ dhām gharvālī …

bīvī to achchhī hai vo hotī jo nakhre vālī -2
phūloṅ se pyārī lagtī hai jab-jab detī hai gālī
tuhāḍī te sānūṅ patā nahīṅ -2
par sāḍī te makhṇāṅ vālī hai
are chāroṅ dhām gharvālī …

bolo gharvālī kī jay
bolo makhṇāṅ vālī kī jay
are bolo sāth meṅ apnī bhī jay
nahīṅ nahīṅ nahīṅ gharvālī kī hī hī hī jay