Are jhatke se dil le gaee ... saiyaan thaam le baiyaan

अरे झटके से दिल ले गई ... सैयां थाम ले बैयां
Year
Language

छुई मुई सी ओ तितली जैसी ओ इक लड़की है हो सबसे हटके
अरे झटके से दिल ले गई ले गई मेरी जां

सैयां सैयां थाम ले बैयां पड़ूं मैं तेरे पइयां
हाथ पकड़ ले मेरा कर दूंगी ज़ुल्फ़ों की छैयां
सैयां सैयां फिर से कह दे कह दे मुझको सैयां
छैयां छैयां कर दे सजनी तू पलकों की छैयां
मैने कब इंकार किया है तू है मेरी जां
सैयां सैयां थाम ले …

हो रिमझिम रिमझिम हो बूंदों जैसी हो छम छम करती हो सबसे हटके
अरे झटके से दिल …

अरे झटके से दिल ले गया ले गया मेरी जां

सैयां सैयां तेरे जैसा और न कोई होगा
तूने दिल को छीन लिया है तौबा मेरी तौबा
छैयां छैयां प्यार की छैयां होती है महबूबा
तेरी झील सी इन आँखों में दिल मेरा ये डूबा
ये आँखें अब घर हैं तेरा सुन ले मेरी जां
सैयां सैयां थाम ले …

हो बिखरी बिखरी हो सुबह सुबह की हो किरणों जैसी हो सबसे हटके
अरे झटके से दिल …

chhuī muī sī o titlī jaisī o ik laṛkī hai ho sabse haṭke
are jhaṭke se dil le gaī le gaī merī jāṅ

saiyāṅ saiyāṅ thām le baiyāṅ paṛūṅ maiṅ tere paiyāṅ
hāth pakaṛ le merā kar dūṅgī zulfoṅ kī chhaiyāṅ
saiyāṅ saiyāṅ phir se kah de kah de mujhko saiyāṅ
chhaiyāṅ chhaiyāṅ kar de sajnī tū palkoṅ kī chhaiyāṅ
maine kab iṅkār kiyā hai tū hai merī jāṅ
saiyāṅ saiyāṅ thām le …

ho rimjhim rimjhim ho būṅdoṅ jaisī ho chham chham kartī ho sabse haṭke
are jhaṭke se dil …

are jhaṭke se dil le gayā le gayā merī jāṅ

saiyāṅ saiyāṅ tere jaisā aur na koī hogā
tūne dil ko chhīn liyā hai taubā merī taubā
chhaiyāṅ chhaiyāṅ pyār kī chhaiyāṅ hotī hai mahbūbā
terī jhīl sī in āṇkhoṅ meṅ dil merā ye ḍūbā
ye āṇkheṅ ab ghar haiṅ terā sun le merī jāṅ
saiyāṅ saiyāṅ thām le …

ho bikhrī bikhrī ho subah subah kī ho kirṇoṅ jaisī ho sabse haṭke
are jhaṭke se dil …