chakravyūh meṅ ghusne se pahle
maiṅ kaun thā aur kaisā thā
ye mujhe yād hī na rahegā
chakravyūh meṅ ghusne ke bād
mere aur chakravyūh ke bīch
sirf ek jān-levā nikaṭtā thī
iskā mujhe patā hī na chalegā
chakravyūh se bāhar nikalne par
maiṅ mukta ho jāūṇ bhale hī
phir bhī
chakravyūh kī rachnā meṅ farq hī na paṛegā
marūṇ yā mārūṇ
mārā jāūṇ yā jān se mār dūṇ
is kā faislā kabhī na ho pāyegā
soyā huā ādmī jab nīṅd se uṭh kar
chalnā śhurū kartā hai
tab sapnoṅ kā saṅsār use dubārā
dikh hī na pāyaegā
us rośhnī meṅ jo nirṇay kī rośhnī hai
sab kuchh samān hogā kyā?
ek palaṛe meṅ napuṅsaktā
ek palaṛe meṅ pauruṣh
aur ṭhīk tarāzū ke kāṇte par
ardh-saty
kṛti ke pahle āyā huā vichār
aur vichār ke bād vālī kR^ti
in ke darmiyān āhuti
jo maiṅ ne dī
jin jin {kṣha}aṇoṅ meṅ maiṅ
bhūl gayā thā deh bhān
jin jin {kṣha}aṇoṅ meṅ
ulajh gayā thā kṛti meṅ
unhīṅ {kṣha}aṇoṅ meṅ
mujhe dikhāī dī
tumhārī sampūrṇ ākṛti
ho chukī hai ab merī kṛti purī
aur tumhārī ākṛti bujh gaī