banegī āśhā ik din terī ye nirāśhā
kāhe ko roye chāhe jo hoye
saphal hogī terī ārādhnā kāhe ko roye
diyā ṭūṭe to hai māṭī, jale to ye jyotī bane
bahe āṇsū to hai pānī, ruke to ye motī bane
ye motī āṇkho kī pūṅjī hai ye nā khoye
kāhe ko roye chāhe jo hoye
saphal hogī terī ārādhnā kāhe ko roye
samā jāye is meṅ tūphān jiyā terā sāgar samān
nazar terī kāhe nādān, chhalak gayī gāgar samān
jāne kyo tūne yūṇ asuan se nain bhigoye
kāhe ko roye chāhe jo hoye
saphal hogī terī ārādhnā kāhe ko roye
kahīṅ pe hai duḥakh kī chhāyā, kahīṅ pe hai khuśhiyoṅ kī dhūp
burā bhalā jaisā bhī hai yahīṅ to hai bagiyā kā rūp
phulo se kāṇṭoṅ se mālī ne hār piroye
kāhe ko roye chāhe jo hoye
saphal hogī terī ārādhnā kāhe ko roye