ma: haiṅ pyār ke do matvāle ek ham haiṅ aur ek tum
aur tum bhī kyā
gī: ab rah gae do dilvāle ek ham haiṅ aur ek tum
aur tum bhī kyā
ma: are mānā tū hai dilbar tujh se hūṇ baṛhkar
sīdhā-sādā sundar
gī: terī nigāheṅ koī batāe are baṛhā khoṭ tere andar
ma: dikhne meṅ to bhole-bhāle ek ham haiṅ air ek tum
aur tum bhī kyā
gī: hāy terā bhī javāb nahīṅ merā bhī javāb nahīṅ
kāhe kā jhagaṛā phir bhī
ma: ajī ek nazar se dūje ko dekhe nahīṅ aur koī marzī
gī: ek āṇkh se dekhnevāle ek ham haiṅ aur ek tum
aur tum bhī kyā
ma: are nain hamārī sapnoṅ kī ghoṛā gāṛī
chal baiṭh uṛā ke āṇchal
gī: ghoṛā gāṛī bhūl anāṛī ab ḍol zarā paidal
ma: paidal hī pyār saṅbhāleṅ ek ham haiṅ aur ek tum
aur tum bhī kyā