Apnee yaadon ko chhor na jaanaa ... jaanaan main hoon

अपनी यादों को छोड़ न जाना ... जानां मैं हूँ
Year
Language

हूं अपनी यादों को छोड़ न जाना
अपने वादों को तोड़ न जाना
जानां मैं हूँ तेरा दीवाना
आशिक़ पहला पुराना
अपनी यादों को …

जैसे तूने तोड़ा मेरा दिल तेरा दिल टूटेगा
तेरे हाथों से भी किसी का दामन छूटेगा
याद रखना ओ बेकदर बेखबर बेवफ़ा
सारी रस्मों को छोड़ न जाना
अपनी कसमों को तोड़ न जाना
जानां मैं हूँ …

मेरे बाद अब किसको बरबाद करेगी
मेरी तरह तू भी इक दिन फ़रियाद करेगी
याद रखना ओ बेअदब बेसमझ बेईमान
हां ऐसे अपनों को छोड़ न जाना
मेरे सपनों को तोड़ न जाना
जानां मैं हूँ …

hūṅ apnī yādoṅ ko chhoṛ na jānā
apne vādoṅ ko toṛ na jānā
jānāṅ maiṅ hūṇ terā dīvānā
āśhiq pahlā purānā
apnī yādoṅ ko …

jaise tūne toṛā merā dil terā dil ṭūṭegā
tere hāthoṅ se bhī kisī kā dāman chhūṭegā
yād rakhnā o bekadar bekhabar bevafā
sārī rasmoṅ ko chhoṛ na jānā
apnī kasmoṅ ko toṛ na jānā
jānāṅ maiṅ hūṇ …

mere bād ab kisko barbād karegī
merī tarah tū bhī ik din fariyād karegī
yād rakhnā o beadab besmajh beīmān
hāṅ aise apnoṅ ko chhoṛ na jānā
mere sapnoṅ ko toṛ na jānā
jānāṅ maiṅ hūṇ …