अपनी उल्फ़त पे ज़माने का ... तो कितना अच्छा होता
मु: अपनी उल्फ़त पे ज़माने का न पहरा होता
तो कितना अच्छा होता -2
ल: प्यार की रात का कोई न सवेरा होता
तो कितना अच्छा होता -2
मु: अपनी उल्फ़त पे …
पास आकर भी बहुत दूर बहुत दूर रहे
एक बन्धन में बँधे फिर भी तो मजबूर रहे
मेरी राहों में न उलझन का अँधेरा होता
तो कितना अच्छा होता -2
ल: दिल मिले आँख मिली प्यार न मिलने पाए
बाग़बाँ कहता है दो फूल न खिलने पाएँ
अपनी मंज़िल को जो काँटों ने न घेरा होता
तो कितना अच्छा होता -2
मु: अजब सुलगती हुई लकड़ियाँ हैं जग वाले
ल: मिलें तो आग उगल दें कटें तो धुआँ करें
दो: अपनी दुनिया में भी सुख चैन का फेरा होता
तो कितना अच्छा होता -2
अपनी उल्फ़त पे …
mu: apnī ulfat pe zamāne kā na pahrā hotā
to kitnā achchhā hotā -2
la: pyār kī rāt kā koī na saverā hotā
to kitnā achchhā hotā -2
mu: apnī ulfat pe …
pās ākar bhī bahut dūr bahut dūr rahe
ek bandhan meṅ bṇdhe phir bhī to majbūr rahe
merī rāhoṅ meṅ na uljhan kā aṇdherā hotā
to kitnā achchhā hotā -2
la: dil mile āṇkh milī pyār na milne pāe
bāġhbāṇ kahtā hai do phūl na khilne pāeṇ
apnī maṅzil ko jo kāṇṭoṅ ne na gherā hotā
to kitnā achchhā hotā -2
mu: ajab sulagtī huī lakaṛiyāṇ haiṅ jag vāle
la: mileṅ to āg ugal deṅ kaṭeṅ to dhuāṇ kareṅ
do: apnī duniyā meṅ bhī sukh chain kā pherā hotā
to kitnā achchhā hotā -2
apnī ulfat pe …