अपनी नज़रों से बहुत दूर ... ना अपना था जो कल्
अपनी नज़रों से बहुत दूर छुपा दूँ खुद को
जी में आता है कि कहीं रख के भुला दूँ खुद को
ना अपना था जो कल गुज़रा जो अब है वो है ग़ैरों का
नहीं उम्मीद अब कोई कल हमारा भी क्या होगा -2
बड़ी रानाइयाँ होंगी जहाँ में हम नहीं होंगे
हमारे एक न होने से फ़साने कम नहीं होंगे
हमारा आज चर्चा है तो कल औरों का फिर होगा
ना अपना था …
उजड़ने को है फिर महफ़िल नई आबाद कर लेना
नई बुनियाद जब रखो हमें भी याद कर लेना
दुखाना दिल को न हरगिज़ दुखाकर दिल को क्या होगा
ना अपना था …
apnī nazroṅ se bahut dūr chhupā dūṇ khud ko
jī meṅ ātā hai ki kahīṅ rakh ke bhulā dūṇ khud ko
nā apnā thā jo kal guzrā jo ab hai vo hai ġhairoṅ kā
nahīṅ ummīd ab koī kal hamārā bhī kyā hogā -2
baṛī rānāiyāṇ hoṅgī jahāṇ meṅ ham nahīṅ hoṅge
hamāre ek na hone se fasāne kam nahīṅ hoṅge
hamārā āj charchā hai to kal auroṅ kā phir hogā
nā apnā thā …
ujaṛne ko hai phir mahafil naī ābād kar lenā
naī buniyād jab rakho hameṅ bhī yād kar lenā
dukhānā dil ko na hargiz dukhākar dil ko kyā hogā
nā apnā thā …