Apnee aazaadee ko ham hargiz mitaa sakte naheen

अपनी आज़ादी को हम हरगिज़ मिटा सकते नहीं
Work
Year
Language

अपनी आज़ादी को हम हरगिज़ मिटा सकते नहीं
सर कटा सकते हैं लेकिन सर झुका सकते नहीं

हमने सदियों में ये आज़ादी की नेमत पाई है
सैकड़ों क़ुरबानियाँ देकर ये दौलत पाई है
मुस्कराकर खाई हैं सीनों पे अपने गोलियाँ
कितने वीरानों से गुज़रे हैं तो जन्नत पाई है
ख़ाक में हम अपनी इज़्ज़त को मिला सकते नहीं

क्‌या चलेगी ज़ुल्म की अहले वफ़ा के सामने
जा नहीं सकता कोई शोला हवा के सामने
लाख फ़ौजें ले के आई अमन का दुश्मन कोई
रुक नहीं सकता हमारी एकता के सामने
हम वो पत्थर हैं जिसे दुश्मन हिला सकते नहीं

वक़्त की आज़ादी के हम साथ चलते जाएंगे
हर क़दम पर ज़िंदगी का रुख़ बदलते जाएंगे
गर वतन में भी मिलेगा कोई गद्दार-ए-वतन
अपनी ताक़त से हम उसका सर कुचलते जाएंगे
एक धोखा खा चुके हैं और खा सकते नहीं

apnī āzādī ko ham hargiz miṭā sakte nahīṅ
sar kaṭā sakte haiṅ lekin sar jhukā sakte nahīṅ

hamne sadiyoṅ meṅ ye āzādī kī nemat pāī hai
saikaṛoṅ qurbāniyāṇ dekar ye daulat pāī hai
muskrākar khāī haiṅ sīnoṅ pe apne goliyāṇ
kitne vīrānoṅ se guzre haiṅ to jannat pāī hai
khāk meṅ ham apnī izazat ko milā sakte nahīṅ

k‌yā chalegī zulm kī ahle vafā ke sāmne
jā nahīṅ saktā koī śholā havā ke sāmne
lākh faujeṅ le ke āī aman kā duśhman koī
ruk nahīṅ saktā hamārī ektā ke sāmne
ham vo patthar haiṅ jise duśhman hilā sakte nahīṅ

vaqt kī āzādī ke ham sāth chalte jāeṅge
har qadam par ziṅdgī kā rukh badalte jāeṅge
gar vatan meṅ bhī milegā koī gaddār-e-vatan
apnī tāqat se ham uskā sar kuchalte jāeṅge
ek dhokhā khā chuke haiṅ aur khā sakte nahīṅ