Apne kaee roop hain ... log kahte hain ham lafange hain

अपने कई रूप हैं ... लोग कहते हैं हम लफ़ंगे हैं
Work
Year
Language

अपने कई रूप हैं इसलिए
कहते हैं सब हमको बहरूपिए
चेहरे से हमको न पहचानिए
हम कितने रंग में रंगे हैं
लोग कहते हैं हम लफ़ंगे हैं

अपने ख़्यालों में जो है हसीं
एक दिन मिलेगी कहीं ना कहीं
हम इन्सान दिल के चंगे हैं
लोग कहते हैं …

यारों की खाली दुआ चाहिए
अपने लिए हमको क्‌या चाहिए
उनकी दुआओं की दया चाहिए
हम कितने रंगों में रंगे हैं
लोग कहते हैं …

apne kaī rūp haiṅ islie
kahte haiṅ sab hamko bahrūpie
chehre se hamko na pahchānie
ham kitne raṅg meṅ raṅge haiṅ
log kahte haiṅ ham lafaṅge haiṅ

apne khyāloṅ meṅ jo hai hasīṅ
ek din milegī kahīṅ nā kahīṅ
ham insān dil ke chaṅge haiṅ
log kahte haiṅ …

yāroṅ kī khālī duā chāhie
apne lie hamko k‌yā chāhie
unkī duāoṅ kī dayā chāhie
ham kitne raṅgoṅ meṅ raṅge haiṅ
log kahte haiṅ …