Apne dil men jagah deejie

अपने दिल में जगह दीजिए
Work
Year
Language

अपने दिल में जगह दीजिए हमको बाँहों में ले लीजिए
मेरे प्यार के देवता हम पे इतना करम कीजिए -2
अपने दिल में …

पलकों की छाँव में रखूँगी आपको छुपा के -2
दुनिया की नज़रों से रखूँगी आपको बचा के
जान-ए-मन दिल को मेरे दिल में बसा लीजिए
अपने दिल में …

आपके नाम का हमने ये जाम लिया है -2
देखो दीवाने दिल ने कैसा ये काम किया है
कितने दिनों से प्यास लगी है हाय बुझा दीजिए
अपने दिल में …

हमको संभालो सनम देखो क़दम डगमगाए -2
आपके बिना अब तो हमसे जिया नहीं जाए
आज की शाम करें यही काम दूरी मिटा दीजिए
अपने दिल में …

apne dil meṅ jagah dījie hamko bāṇhoṅ meṅ le lījie
mere pyār ke devtā ham pe itnā karam kījie -2
apne dil meṅ …

palkoṅ kī chhāṇv meṅ rakhūṇgī āpko chhupā ke -2
duniyā kī nazroṅ se rakhūṇgī āpko bachā ke
jān-e-man dil ko mere dil meṅ basā lījie
apne dil meṅ …

āpke nām kā hamne ye jām liyā hai -2
dekho dīvāne dil ne kaisā ye kām kiyā hai
kitne dinoṅ se pyās lagī hai hāy bujhā dījie
apne dil meṅ …

hamko saṅbhālo sanam dekho qadam ḍagamgāe -2
āpke binā ab to hamse jiyā nahīṅ jāe
āj kī śhām kareṅ yahī kām dūrī miṭā dījie
apne dil meṅ …