अपना देश विदेश के आगे हाथ न फैलाए
अपना देश विदेश के आगे हाथ न फैलाए
आज जहाँ है रेत कल वहाँ खेत मुस्कराए
ऐसा कि गाँव-गाँव में गंगा लहराए
अपना देश विदेश …
मेहनत का ही नाम है वो जिसको क़िस्मत कहते हैं
दो हाथों का खेल है वो जिसको दौलत कहते हैं
हम जहाँ पसीना बहाएँगे मोती वहाँ उगाएँगे
नदियाँ बाँध नहर निकालें ख़ुशहाली छाए
अपना देश विदेश …
देश की हर चीज़ है अपनी क्यों अपने हाथों से तोड़ें
इसको बचाना फ़र्ज़ है अपना क्यों सरकार पर छोड़ें
अपना भारत सारा हमें प्रांत-प्रांत है प्यारा
आपस के ही इन दंगों में देश न जल जाए
अपना देश विदेश …
apnā deśh videśh ke āge hāth na phailāe
āj jahāṇ hai ret kal vahāṇ khet muskrāe
aisā ki gāṇv-gāṇv meṅ gaṅgā lahrāe
apnā deśh videśh …
mehnat kā hī nām hai vo jisko qismat kahte haiṅ
do hāthoṅ kā khel hai vo jisko daulat kahte haiṅ
ham jahāṇ pasīnā bahāeṇge motī vahāṇ ugāeṇge
nadiyāṇ bāṇdh nahar nikāleṅ khuśhhālī chhāe
apnā deśh videśh …
deśh kī har chīz hai apnī kyoṅ apne hāthoṅ se toṛeṅ
isko bachānā farz hai apnā kyoṅ sarkār par chhoṛeṅ
apnā bhārat sārā hameṅ prāṅt-prāṅt hai pyārā
āpas ke hī in daṅgoṅ meṅ deśh na jal jāe
apnā deśh videśh …