तुझे मिली रोशनी मुझको अंधेरा
तुझे मिली रोशनी मुझको अंधेरा -2
सारा जहाँ है बदग़ुमाँ
कोई नहीं मेरा यहाँ
तुझे मिली रोशनी …
चले थे बसाने दो दिल इक दिन जवाँ-जवाँ नई-नई दुनिया
मुझे तो मिला ना रास्ता कोई हो तुम्हीं बढ़े चले गए तनहा
अब तू कहाँ और मैं कहाँ
मैं हूँ ज़मीं तू आसमाँ
तुझे मिली रोशनी …
घड़ी-घड़ी चाहा मैं मर जाऊँ घड़ी-घड़ी तूने मुझे रोका
आई तेरी यादें ऐसे छुपके कभी-कभी हुआ तेरा धोखा
देखा जहाँ तेरा निशाँ
गाने लगी तनहाइयाँ
तुझे मिली रोशनी …
tujhe milī rośhnī mujhko aṅdherā -2
sārā jahāṇ hai badaġhumāṇ
koī nahīṅ merā yahāṇ
tujhe milī rośhnī …
chale the basāne do dil ik din javāṇ-javāṇ naī-naī duniyā
mujhe to milā nā rāstā koī ho tumhīṅ baṛhe chale gae tanhā
ab tū kahāṇ aur maiṅ kahāṇ
maiṅ hūṇ zamīṅ tū āsmāṇ
tujhe milī rośhnī …
ghaṛī-ghaṛī chāhā maiṅ mar jāūṇ ghaṛī-ghaṛī tūne mujhe rokā
āī terī yādeṅ aise chhupke kabhī-kabhī huā terā dhokhā
dekhā jahāṇ terā niśhāṇ
gāne lagī tanhāiyāṇ
tujhe milī rośhnī …