ārām hai harām
tum deśh ke kone-kone meṅ pahuṇchā do ye paiġhām
ārām hai harām …
dekho paṛe haiṅ deśh meṅ ab tak kitne kām adhūre
milkar hāth baṛhāo tabhī ho sakte haiṅ pūre
jāo ek ho jāo is deśh ko svarg banāo
bhārat kā ho is duniyā meṅ sabse ūṇchā nām
ārām hai harām …
jāt-pāt ke bandhan toṛo ūṇch-nīch ko chhoṛo
nae samay se nae jagat se apnā nātā joṛo
badlā ḍhaṅg purānā hai nayā zamānā hai
aisā karo saverā jiskī kabhī na āe śhām
ārām hai harām …
kabhī kisī ke āge na jholī phailānā
chāhe rūkhī-sūkhī hī hāthoṅ se kamākar khānā
yahī hai ān tumhārī yahī jān tumhārī
jismeṅ apnā sar jhuktā ho karo na aisā kām
ārām hai harām …