itnī śhakti hameṅ de na dātā
mankā viśhvās kamazor ho nā
ham chaleṅ nek rāste pe hamse
bhūlkar bhī koī bhūl ho nā…
har taraf zulm hai bebsī hai
sahmā-sahmā-sā har ādmī hai
pāp kā bojh baṛhtā hī jāye
jāne kaise ye dhartī thamī hai
bojh mamtā kā tū ye uṭhā le
terī rachnā ka ye ant ho nā…
ham chale…
dūr ajñān ke ho andhere
tū hameṅ jñān kī rauśhnī de
har burāī se bachke raheṅ ham
jitnī bhī de, bhalī zindgī de
bair ho nā kisīkā kisīse
bhāvnā man meṅ badle kī ho nā…
ham chale…
ham na socheṅ hameṅ kyā milā hai
ham ye socheṅ kiyā kyā hai arpaṇ
phūl khuśhiyoṅ ke bāṭeṅ sabhī ko
sabkā jīvan hī ban jāye madhuban
apnī karuṇā ko jab tū bahā de
karde pāvan har ik man kā konā…
ham chale…
ham andhere meṅ haiṅ rauśhnī de,
kho nā de khud ko hī duśhamnī se,
ham sazā pāye apne kiye kī,
maut bhī ho to sah le khuśhī se,
kal jo guzrā hai phirse nā guzre,
ānevālā vo kal aisā ho nā…
ham chale nek rāste pe hamse,
bhulkar bhī koī bhūl ho nā…
itnī śhakti hameṅ de nā dātā,
mankā viśhvās kamazor ho nā…