Ankhiyon men chhote-chhhote sapne sajaaike

अँखियों में छोटे-च्ह्होटे सपने सजाइके
Work
Year
Language

अँखियों में छोटे-छोटे सपने सजाइके
बहियों में निंदिया के पंख लगाइके
चँदा में झूले मेरी बिटिया रानी
चाँदनी रे झूम, हो, चाँदनी रे झूम …

यही तो कली है प्यारी मेरी सारी बगिया में
मैंने यही मोती पाया जीवन नदिया में
ममता लुटाऊं ऐसी मच जाए धूम
चाँदनी रे झूम, हो, चाँदनी रे झूम …

निंदिया के संग-संग राजा कोई आएगा
बिंदिया लगाएगा रे माला पहनाएगा
लेगा फिर प्यारे-प्यारे मुखड़े को चूम
चाँदनी रे झूम, हो, चाँदनी रे झूम …

aṇkhiyoṅ meṅ chhoṭe-chhoṭe sapne sajāike
bahiyoṅ meṅ niṅdiyā ke paṅkh lagāike
chṇdā meṅ jhūle merī biṭiyā rānī
chāṇdnī re jhūm, ho, chāṇdnī re jhūm …

yahī to kalī hai pyārī merī sārī bagiyā meṅ
maiṅne yahī motī pāyā jīvan nadiyā meṅ
mamtā luṭāūṅ aisī mach jāe dhūm
chāṇdnī re jhūm, ho, chāṇdnī re jhūm …

niṅdiyā ke saṅg-saṅg rājā koī āegā
biṅdiyā lagāegā re mālā pahnāegā
legā phir pyāre-pyāre mukhaṛe ko chūm
chāṇdnī re jhūm, ho, chāṇdnī re jhūm …