maiṅ dil hūṇ ik armān bharā
tū āke mujhe pahchān zarā
ik sāgar hūṇ ṭhahrā ṭhahrā -2
tū āke mujhe pahchān zarā
maiṅ dil hūṇ ik armān bharā
khud maine husn ke hāthoṅ meṅ,
śhokhī kā chhalaktā jām diyā
gāloṅ ko gulāboṅ kā rutbā,
kaliyoṅ ko laboṅ kā nām diyā, nām diyā
āṇkhoṅ ko diyā sāgar gahrā - 2
tū āke mujhe pahchān zarā
ye sach hai, terī mahafil meṅ,
mere afsāne kuchh bhī nahīṅ
par dil kī daulat ke āge
duniyā ke khazāne kuchh bhī nahīṅ
yūṅ mujhse nigāhoṅ ko nā churā - 2
tū āke mujhe pahchān zarā
ye jhilmil karte hue diye - 2
ākhir ik din bujh jāyeṅge
daulat ke naśhe meṅ ḍūbe hue
ye rāg raṅg miṭ jāyeṅge
gūṇjegā magar ye gīt merā - 2
ye gīt merā