Angoor kaa daanaa hoon suee naa chubho denaa

अंगूर का दाना हूँ सुई ना चुभो देना
Year
Language

अंगूर का दाना हूँ सुई ना चुभो देना
सुई जो चुभोई तो रस टपकेगा
जो रस टपकेगा तो किसमिस किसमिस किसमिस बन जाऊंगी
अंगूर का दाना …

फूलों की तरह रखना मुरझाने नहीं देना
खुश्बू की तरह रखना उड़ जाने नहीं देना
मैं रात हूँ शबाब की ढल जाने नहीं देना
अंगूर का दाना …

रातों की मैं रानी हूँ हर दिल की जवानी हूँ
अंगूर की बेटी हूँ शराब पुरानी हूँ
ये बात है राज़ की खुल जाने नहीं देना
अंगूर का दाना …

aṅgūr kā dānā hūṇ suī nā chubho denā
suī jo chubhoī to ras ṭapkegā
jo ras ṭapkegā to kismis kismis kismis ban jāūṅgī
aṅgūr kā dānā …

phūloṅ kī tarah rakhnā murjhāne nahīṅ denā
khuśhbū kī tarah rakhnā uṛ jāne nahīṅ denā
maiṅ rāt hūṇ śhabāb kī ḍhal jāne nahīṅ denā
aṅgūr kā dānā …

rātoṅ kī maiṅ rānī hūṇ har dil kī javānī hūṇ
aṅgūr kī beṭī hūṇ śharāb purānī hūṇ
ye bāt hai rāz kī khul jāne nahīṅ denā
aṅgūr kā dānā …