Angnaa men baabaa duaare pe maan

अंगना में बाबा दुआरे पे माँ
Work
Year
Language

अंगना में बाबा दुआरे पे माँ
कैसे आएं गोरी हम तुम्हरे घर मां
खेत गए बाबा बाज़ार गई माँ
अकेली हूँ घर मां तू आ जा बालमा

घर मां जो अइवें तो हमैं क्‌या खिलइवे
गरम गरम हलवा और पूरी पकइवे
नरम नरम हाथों से खा जा बालमा
अंगना में बाबा …

हलवा पूरी खइवे तो निंदिया न सतइवे
निंदिया में तोहरे लिए आंचल बिछइवे
सिजिया की किस्मत जगा जा बालमा
खेत गए बाबा …

क्‌या होगा बाज़ार से माँ जो आई
कह दूंगी माँ ये है तेरा जमाई
हाथ मेरा मांगने को आ जा बालमा
अंगना में बाबा …

aṅgnā meṅ bābā duāre pe māṇ
kaise āeṅ gorī ham tumhre ghar māṅ
khet gae bābā bāzār gaī māṇ
akelī hūṇ ghar māṅ tū ā jā bālmā

ghar māṅ jo aiveṅ to hamaiṅ k‌yā khilaive
garam garam halvā aur pūrī pakaive
naram naram hāthoṅ se khā jā bālmā
aṅgnā meṅ bābā …

halvā pūrī khaive to niṅdiyā na sataive
niṅdiyā meṅ tohre lie āṅchal bichhaive
sijiyā kī kismat jagā jā bālmā
khet gae bābā …

k‌yā hogā bāzār se māṇ jo āī
kah dūṅgī māṇ ye hai terā jamāī
hāth merā māṅgne ko ā jā bālmā
aṅgnā meṅ bābā …