Andheree raaton men ... jise log shahanshaah kahte hain

अन्धेरी रातों में ... जिसे लोग शहनशाह कहते हैं
Work
Year
Language

अन्धेरी रातों में सुनसान राहों पर -2
हर ज़ुल्म मिटाने को एक मसीहा निकलता है
जिसे लोग शहनशाह कहते हैं
अन्धेरी रातों में …

जैसे निकलता है तीर कमान से -2
देखो ये चला वो निकला वो शान से
उसके ही किस्से सबकी ज़ुबान पे
वो बात है उसकी बातों में
अन्धेरी रातों में …

ऐसे बहादुर देखे हैं थोड़े -2
ज़ुल्म-ओ-सितम की ज़ंजीर तोड़े
पीछे पड़े तो पीछा न छोड़े
बड़ा है ज़ोर उसके हाथों में
अन्धेरी रातों में …

शहर की गलियों में वो फिरता है -2
दोस्तों से दोस्त बनकर मिलता है
दुश्मनों के सर पर ऐसे गिरता है
जैसे बिजली गिरे बरसातों में
अन्धेरी रातों में …

andherī rātoṅ meṅ sunsān rāhoṅ par -2
har zulm miṭāne ko ek masīhā nikaltā hai
jise log śhahanśhāh kahte haiṅ
andherī rātoṅ meṅ …

jaise nikaltā hai tīr kamān se -2
dekho ye chalā vo niklā vo śhān se
uske hī kisse sabkī zubān pe
vo bāt hai uskī bātoṅ meṅ
andherī rātoṅ meṅ …

aise bahādur dekhe haiṅ thoṛe -2
zulm-o-sitam kī zaṅjīr toṛe
pīchhe paṛe to pīchhā na chhoṛe
baṛā hai zor uske hāthoṅ meṅ
andherī rātoṅ meṅ …

śhahar kī galiyoṅ meṅ vo phirtā hai -2
dostoṅ se dost bankar miltā hai
duśhmnoṅ ke sar par aise girtā hai
jaise bijlī gire barsātoṅ meṅ
andherī rātoṅ meṅ …