अंधेरे में जो बैठे हैं, नज़र उन पर भी कुछ डालो
अंधेरे में जो बैठे हैं, नज़र उन पर भी कुछ डालो
अरे ओ रोशनी वालों
बुरे हम हैं नहीं इतने, ज़रा देखो हमें भालो
अरे ओ रोशनी वालों …
कफ़न से ओढ़ कर बैठे हैं, हम सपनों की लाशों को
जो किस्मत ने दिखाए, देखते हैं उन तमाशों को
हमें नफ़रत से मत देखो, ज़रा हम पर रहम खालो
अरे ओ रोशनी वालों …
हमारे भी थे कुछ साथी, हमारे भी थे कुछ सपने
सभी वो राह में छूटे, वो सब रूठे जो थे अपने
जो रोते हैं कई दिन से, ज़रा उनको भी समझा लो
अरे ओ रोशनी वालों …
aṅdhere meṅ jo baiṭhe haiṅ, nazar un par bhī kuchh ḍālo
are o rośhnī vāloṅ
bure ham haiṅ nahīṅ itne, zarā dekho hameṅ bhālo
are o rośhnī vāloṅ …
kafan se oṛh kar baiṭhe haiṅ, ham sapnoṅ kī lāśhoṅ ko
jo kismat ne dikhāe, dekhte haiṅ un tamāśhoṅ ko
hameṅ nafrat se mat dekho, zarā ham par raham khālo
are o rośhnī vāloṅ …
hamāre bhī the kuchh sāthī, hamāre bhī the kuchh sapne
sabhī vo rāh meṅ chhūṭe, vo sab rūṭhe jo the apne
jo rote haiṅ kaī din se, zarā unko bhī samjhā lo
are o rośhnī vāloṅ …