Sunaaoon k‌yaa main gham apnaa

सुनाऊँ क्‌या मैं ग़म अपना
Work
Year
Language

सुनाऊँ क्‌या मैं ग़म अपना ज़ुबाँ तक ला नहीं सकता
जो गाना चाहता है दिल वोही मैं गा नहीं सकता
वोही मैं गा नहीं सकता
सुनाऊँ क्‌या

मिले हैं ग़ैर से हँस कर वो मेरे सामने हाये
वो मेरे सामने हाये
लगी है ठेस वो दिल पर के मैं बतला नहीं सकता
कि मैं बतला नहीं सकता

सुनाऊँ क्‌या मैं ग़म अपना ज़ुबाँ तक ला नहीं सकता
सुनाऊँ क्‌या

मेरी हसरत भरी नज़रों को अब तक जो नहीं समझा
उसे मैं दर्द-ए-दिल अपना कभी समझा नहीं सकता
कभी समझा नहीं सकता

सुनाऊँ क्‌या मैं ग़म अपना ज़ुबाँ तक ला नहीं सकता
सुनाऊँ क्‌या

सिवा तेरे बहुत हैं हुस्न वाले भी ज़माने में
हुस्न वाले भी ज़माने में
मगर मुश्किल ये है अब दिल किसी पर आ नहीं सकता
किसी पर आ नहीं सकता

सुनाऊँ क्‌या मैं ग़म अपना ज़ुबाँ तक ला नहीं सकता
सुनाऊँ क्‌या

sunāūṇ k‌yā maiṅ ġham apnā zubāṇ tak lā nahīṅ saktā
jo gānā chāhtā hai dil vohī maiṅ gā nahīṅ saktā
vohī maiṅ gā nahīṅ saktā
sunāūṇ k‌yā

mile haiṅ ġhair se hṇs kar vo mere sāmne hāye
vo mere sāmne hāye
lagī hai ṭhes vo dil par ke maiṅ batlā nahīṅ saktā
ki maiṅ batlā nahīṅ saktā

sunāūṇ k‌yā maiṅ ġham apnā zubāṇ tak lā nahīṅ saktā
sunāūṇ k‌yā

merī hasrat bharī nazroṅ ko ab tak jo nahīṅ samjhā
use maiṅ dard-e-dil apnā kabhī samjhā nahīṅ saktā
kabhī samjhā nahīṅ saktā

sunāūṇ k‌yā maiṅ ġham apnā zubāṇ tak lā nahīṅ saktā
sunāūṇ k‌yā

sivā tere bahut haiṅ husn vāle bhī zamāne meṅ
husn vāle bhī zamāne meṅ
magar muśhkil ye hai ab dil kisī par ā nahīṅ saktā
kisī par ā nahīṅ saktā

sunāūṇ k‌yā maiṅ ġham apnā zubāṇ tak lā nahīṅ saktā
sunāūṇ k‌yā