Ho he he ... kitnaa paagal dil hai ... jo bhee yahaan pyaar kare

हो हे हे ... कितना पागल दिल है ... जो भी यहाँ प्यार करे
Work
Year
Language

हो ( हे हे हे हू हू हू हा हा हा ला ला ला ला ) -2

कितना पागल दिल है कैसी ये मुश्क़िल है
बेवजह किसी पे ऐतबार करें
जो भी यहाँ प्यार करे जीना दुश्वार करे ओ ओ ओ -2

कोई समझाए कैसे इश्क़ न कहना माने
इश्क़ कहते हैं किसको जो करे वो ही जाने
डूब जाते दीवाने इश्क़ की गहराई में
बेक़रारी मिलती है इश्क़ की तन्हाई में
जो ख़ुद को बेक़रार करे जीना दुश्वार करे ओ ओ ओ -2
जो भी यहाँ प्यार …

आसमाँ के तारों को हाथ से छू लें कैसे
दिलरुबा की बातों को दिल भला भूले कैसे
इश्क़ की सौग़ाते हैं बेक़रारी तन्हाई
याद कुछ दिल को आया आँख मेरी भर आई
जो कल का इन्तज़ार करे जीना दुश्वार करे ओ ओ ओ -2
जो भी यहाँ प्यार …
कितना पागल दिल …
ऊ ऊ ऊ ऊ ऊ ऊ आ हा हा रा रा रा रा -2
कितना पागल दिल है कैसी ये मुश्क़िल है
बेवजह किसी का इन्तज़ार करें
जो भी यहाँ प्यार करे जीना दुश्वार करे हाय -2

अपने महबूब सनम को दिल कभी भूल न पाए
साथ चलते हैं पल-पल बीती यादों के साए
चाँद-तारें बुझ जाएँ रात काली हो जाए
एक दिलबर न हो तो दुनिया ख़ाली हो जाए
हर लम्हा दीदार करे जीना दुश्वार करे हाय -2
जो भी यहाँ प्यार …

यही तो प्यार का अन्दाज़ है रे आ आ आ ओ ओ ओ ओ

आँखों-आँखों से कोई तीर चलता रहता है
इस क़दर सावन में भी जिस्म जलता रहता है
प्यास जितनी रोकूँ मैं उतनी बढ़ती जाती है
दूरियों की बेचैनी मुझको ओय तड़पाती है
शाम-ओ-सहर बेज़ार करे जीना दुश्वार करे हाय -2
जो भी यहाँ प्यार …
कितना पागल दिल …

ho ( he he he hū hū hū hā hā hā lā lā lā lā ) -2

kitnā pāgal dil hai kaisī ye muśhqil hai
bevjah kisī pe aitbār kareṅ
jo bhī yahāṇ pyār kare jīnā duśhvār kare o o o -2

koī samjhāe kaise iśhq na kahnā māne
iśhq kahte haiṅ kisko jo kare vo hī jāne
ḍūb jāte dīvāne iśhq kī gahrāī meṅ
beqrārī miltī hai iśhq kī tanhāī meṅ
jo khud ko beqrār kare jīnā duśhvār kare o o o -2
jo bhī yahāṇ pyār …

āsmāṇ ke tāroṅ ko hāth se chhū leṅ kaise
dilrubā kī bātoṅ ko dil bhalā bhūle kaise
iśhq kī sauġhāte haiṅ beqrārī tanhāī
yād kuchh dil ko āyā āṇkh merī bhar āī
jo kal kā intazār kare jīnā duśhvār kare o o o -2
jo bhī yahāṇ pyār …
kitnā pāgal dil …
ū ū ū ū ū ū ā hā hā rā rā rā rā -2
kitnā pāgal dil hai kaisī ye muśhqil hai
bevjah kisī kā intazār kareṅ
jo bhī yahāṇ pyār kare jīnā duśhvār kare hāy -2

apne mahbūb sanam ko dil kabhī bhūl na pāe
sāth chalte haiṅ pal-pal bītī yādoṅ ke sāe
chāṇd-tāreṅ bujh jāeṇ rāt kālī ho jāe
ek dilbar na ho to duniyā khālī ho jāe
har lamhā dīdār kare jīnā duśhvār kare hāy -2
jo bhī yahāṇ pyār …

yahī to pyār kā andāz hai re ā ā ā o o o o

āṇkhoṅ-āṇkhoṅ se koī tīr chaltā rahtā hai
is qadar sāvan meṅ bhī jism jaltā rahtā hai
pyās jitnī rokūṇ maiṅ utnī baṛhtī jātī hai
dūriyoṅ kī bechainī mujhko oy taṛpātī hai
śhām-o-sahar bezār kare jīnā duśhvār kare hāy -2
jo bhī yahāṇ pyār …
kitnā pāgal dil …