आएगा मज़ा अब बरसात का ... परदेसी मुझे तू लूट गया
अ: ( आएगा मज़ा अब बरसात का
तेरी-मेरी दिलकश मुलाक़ात का ) -2
मैने तो सम्भाले रखा था -2
तूने देखा जो पत्ता छूट गया
यूँ अँखियाँ मिलाके अँखियों से -2
परदेसी मुझे तू लूट गया
आ आ आ आ
बा: इक भीगी हसीना क्या कहना
यौवन का नगीना क्या कहना
सावन का महीना क्या कहना
बारिश में पसीना क्या कहना
अ: मेरे होंठों पे ये अंगूर का जो पानी है
मेरे महबूब तेरे प्यास की कहानी है
जब घटाओं से बूँद ज़ोर से बरसती है
तुझसे मिलने को तेरी जान-ए-मन तरसती है
अन्दाज़ जो देखा ज़ालिम का -2
सब्र का बाँध मेरी टूट गया
यूँ अँखियाँ मिलाके अँखियों से -2
परदेसी मुझे तू लूट गया
बा: नज़रों में छुपा ले देर न कर
ये दूरी मिटा ले देर न कर
अब दिल में बसा ले देर न कर
सीने से लगा ले देर न कर
अ: बड़ी बेचैन हूँ मेरी जान मैं कल-परसों से
हाँ मुझे इन्तज़ार इस दिन का बरसों से
अब जो रोकेगा तो मैं हद से ग़ुज़र जाऊँगी
और तड़पाएगा दिलदार तो मर जाऊँगी
रह जाएँगे प्यासे हम दोनों -2
ये मौसम जो हम से रूठ गया
मैने तो सम्भाले रखा था -2
तूने देखा जो पत्ता छूट गया
दो: यूँ अँखियाँ मिलाके अँखियों से -2
अ: परदेसी मुझे तू लूट गया
आ आ आ आ
यूँ अँखियाँ मिलाके अँखियों से
परदेसी मुझे तू लूट गया
a: ( āegā mazā ab barsāt kā
terī-merī dilkaśh mulāqāt kā ) -2
maine to sambhāle rakhā thā -2
tūne dekhā jo pattā chhūṭ gayā
yūṇ aṇkhiyāṇ milāke aṇkhiyoṅ se -2
pardesī mujhe tū lūṭ gayā
ā ā ā ā
bā: ik bhīgī hasīnā kyā kahnā
yauvan kā nagīnā kyā kahnā
sāvan kā mahīnā kyā kahnā
bāriśh meṅ pasīnā kyā kahnā
a: mere hoṅṭhoṅ pe ye aṅgūr kā jo pānī hai
mere mahbūb tere pyās kī kahānī hai
jab ghaṭāoṅ se būṇd zor se barastī hai
tujhse milne ko terī jān-e-man tarastī hai
andāz jo dekhā zālim kā -2
sabr kā bāṇdh merī ṭūṭ gayā
yūṇ aṇkhiyāṇ milāke aṇkhiyoṅ se -2
pardesī mujhe tū lūṭ gayā
bā: nazroṅ meṅ chhupā le der na kar
ye dūrī miṭā le der na kar
ab dil meṅ basā le der na kar
sīne se lagā le der na kar
a: baṛī bechain hūṇ merī jān maiṅ kal-parsoṅ se
hāṇ mujhe intazār is din kā barsoṅ se
ab jo rokegā to maiṅ had se ġhuzar jāūṇgī
aur taṛpāegā dildār to mar jāūṇgī
rah jāeṇge pyāse ham donoṅ -2
ye mausam jo ham se rūṭh gayā
maine to sambhāle rakhā thā -2
tūne dekhā jo pattā chhūṭ gayā
do: yūṇ aṇkhiyāṇ milāke aṇkhiyoṅ se -2
a: pardesī mujhe tū lūṭ gayā
ā ā ā ā
yūṇ aṇkhiyāṇ milāke aṇkhiyoṅ se
pardesī mujhe tū lūṭ gayā