sārā pyār tumhārā, maine bāṇdh liyā hai āṇchal meṅ - 2
tere nae rūp ki naī adā, ham dekhā kareṅge pal pal meṅ - 2
sārā pyār tumhārā, maine bāṇdh liyā hai āṇchal meṅ
(dekh ke terī sūrat, miṭ jātī hai, ek hī pal meṅ,
jīvan kī har thakan
mere sapnoṅ kī tum mūrat, tumko pākar, saphal huā hai,
merā ye jīvan ) - 2
sapnoṅ kī tum mūrat
ho, chamkī merī kismat kī rekhā, in naynoṅ ke kājal meṅ …
sārā pyār tumhārā, maine bāṇdh liyā hai āṇchal meṅ
(ham aur pās āeṇge, hame aur pās koī lāegā
duniyā ko nazar āeṇge ham, jab jab vo muskāegā ) - 2
āī aisī belā, ik pal ko bhī, mujhe akelā,
chhoṛ nā denā tum
āī aisī belā
pās hī rahnā, kho mat jānā, duniyā kī halchal meṅ
sārā pyār tumhārā, maine bāṇdh liyā hai āṇchal meṅ
tere nae rūp ki naī adā, ham dekhā kareṅge pal pal meṅ
sārā pyār tumhārā, maine bāṇdh liyā hai āṇchal meṅ …